Pathar ke Oz
Oz ke bundon mein chupee hai
Dastan kal raat ki
Alag nahin hai pehele se
Bas kuch kirdar naye hain
Pehele bhi jo roye they
Kal raat bhi sisakte rahey
Bhook aur thand bhi unse
Phir nibhaye khub vafadaari
Jo aansu se banke Aurat kehelaye
Kal raat bhi intezar mein kaatey
Insan ka khitab rahgaya phir kuch fasley pey
Aasrey ki umeed mein khoye thodey aur housley
Kuch ke liye neend bhi der se aayi
Aur subah kuch zyada hi jaldi
Jeene ki phiraaq mein zindagiyan khogaye
Paison se kuch pal ki sanse aur kharid kar jeeliye
Bachpan ke kuch aur pal sapnon mein katey
Din ke kuch khauf andheron mein khoye
Rahbaron ney tohphe mein zindagi bhar ke dard diye
Choti si umar mein azad khayalon sey bichad gaye
Oz ke yeh bunden jaise pathar ke bangaye hain
Uthake phenkdun, tod dun, pattiyon ko nichod dun
Yeh oz ke bunden, kyon badaltey nahin
Iis purani mayl mein dhundhla padgaya apna chehera bhi
Par abhi jo aag lagi dil mein woh bhi hai purani
Chingariyan kuch yahan kuch wahan se churayee hain
Woh subaha phir toh aayegi, kahtey huye jalte rahe jaaney kai
Dastaney badlengi, har oz pey nayeen kahani hogi
(Amrita Misra, 2012)
Leave a Reply