Archive for ‘November, 2012’

Oz ke bundon mein chupee hai

Dastan kal raat ki

Alag nahin hai pehele se

Bas kuch kirdar naye hain

 

Pehele bhi jo roye they

Kal raat bhi sisakte rahey

Bhook aur thand bhi unse

Phir nibhaye khub vafadaari

 

Jo aansu se banke Aurat kehelaye

Kal raat bhi intezar mein kaatey

Insan ka khitab rahgaya phir kuch  fasley pey

Aasrey ki umeed mein khoye thodey aur housley

 

Kuch ke liye neend bhi der se aayi

Aur subah kuch zyada hi jaldi

Jeene ki phiraaq mein zindagiyan khogaye

Paison se kuch pal ki sanse aur kharid kar jeeliye

 

Bachpan ke kuch aur pal sapnon mein katey

Din ke kuch khauf andheron mein khoye

Rahbaron ney tohphe mein zindagi bhar ke dard diye

Choti si umar mein azad khayalon sey bichad gaye

 

Oz ke yeh bunden jaise pathar ke bangaye hain

Uthake phenkdun, tod dun, pattiyon ko nichod dun

Yeh oz ke bunden, kyon badaltey nahin

Iis purani mayl mein dhundhla padgaya apna chehera bhi

 

Par abhi jo aag lagi dil mein woh bhi  hai purani

Chingariyan kuch yahan kuch wahan se  churayee hain

Woh subaha phir toh aayegi, kahtey huye jalte  rahe jaaney kai

Dastaney badlengi, har oz pey nayeen kahani hogi

 

(Amrita Misra, 2012)

Leave a comment